لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada

Mir Hasan Mir2018
ShiaNohaLyrics
Haye sakina, haaye sakina haye sakina Haye...haaye... Samajh ke zahra sataya gaya sakina ko qadam qadam pe rulaya gaya sakina ko wo zakhm aaj bhi taaza hai pushte naaqa se haye giri nahi hai giraya gaya sakina ko haye... haye Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha Mujhko chalte hue naaqe se giraya baba pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha Hogayi chaar(4) baras mein hi sakina, zahra pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 1. Wo bhi dada se chupati rahi apna pehlu mujhse bhi dekhe na jayenge ali ke aasu..(2) jeeteji mere mera zakhm na dekhe bhaiyya pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 2. Kaise aayi hu mai bazaar se hokar baba mujhko maare gaye is zakhm pe patthar baba..(2) roke mai kehti rahi phir bhi kisi ne na suna pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 3. Haye, Ab samajh sakti hu kis tarha wo soti hongi haath pehlu pe rakhe kaise tadapti hongi karwate dard mujhe bhi nahi lene deta pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 4. Hubahu fatima zehra si zaeefi chayi jhurriya'n chehre pe baalo mein safedi aayi..(2) ek kami baaqi thi wo bhi hui poori baba pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 5. Saath suraj ke ye dil doob raha hota hai amma kehti hai yehi waqt e dua hota hai..(2) roz karti hu sare shaam mai marne ki dua pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 6. Jaake jannat mein bhi aaram nahi payega kya ye armaan mera dil mein hi reh jayega kaise godi mein uthaungi mai asghar ko bhala pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 7. Aapka sar jale daaman mein uthane ke liye haath darbaar mein mushkil se uthaye maine tumko us waqt bhi maine na bataya baba pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 8. Gir padi khaak pe namoos e nabi peet ke sarr qaid khane mein hui aur qayamat akbar leke sar baap ka bachhi ne jo ro ro ke kaha pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha Haye zahra, haye sakina