لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya fatima rida mein chupa lo hussain ko

Mir Hasan Mir2018
ShiaNohaLyrics
Ya ghareeb ya hussain haye ghareeb, haye hussain haaye.. arey maqtal mein gir raha hai..(2) sambhalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(3) maqtal mein gir raha hai..(2) sambhalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(3) 1. Paiwast hai ghareeb ke pehlu mein barchiya'n tumko bhi uthne deti nahi tooti pasliya'n lekar ali ka naam..(2) utha lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 2. Deewar o darr ke  beech jo armaan reh gaye rakhi hui thi dil mein jo mohsin ke waaste wo loriya'n bhi aaj..(2) suna lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 3. Sola pehere ki pyaas hai aur hai labo pe dumm dekar ghareeb bete ko abbas ki qasam paani agar mile to..(2) pila lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 4. Sheh ki ghareeb beti ke armaan ki tarha godi mein leke teesri shabaan ki tarha kuch der ho sake to..(2) sula lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 5. Haider tadap rahe hai payambar hai beqaraar tum kaise sun rahi ho sadaein ye baar baar ek shor hai zamee'n par..(2) gira lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 6. Ache nahi irade yazidi sipaah ke pao'n nikal rahe hai rakabo se shaah ke ghazi nahi hai tum hi..(2) sambhalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 7. Zainab sada ye deti hai aye beqaraar maa zakhmo ko milke baandhegi haider ki betiya'n khaime mein ek baar..(2) bulalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 8. Rone lagi aye mir takallum wo ghum zada phailake apne haath jo shabbir ne kaha haye godi mein thodi der..(2) sulalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)