لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zainab ka naam musalle par

Mir Hasan Mir2018
ShiaNohaLyrics
Haye ali, haye ali, haye ali..(2) Haye ali, haye ali haye ali, maula ali Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) Kya yaad ali ko aaya hai bazaar e shaam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 1. Khoo'n jaari tha zakhmi sar se rote the namazi saff mein khade kis tarha hasan ne ro ro kar ki fajr tamaam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 2. Kya maa ki tarha lene tumko masjid mein chali aaye zainab baba ko jaakar dedo fizza mera paigham musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 3. Haaye, Zakhmi pehlu jab yaad aaya zakhmi peshani bhool gaya zahra ki museebat par roya mazloom imam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 4. Ye pehli fajr hai zainab ki sajde mein sukoo'n milta hai nahi dil doobta hai aata hi nahi ik pal aaraam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 5. Deewar e kaaba baith gayi al-hamd lahu mein doob gayi ummat se mila hai maula ko kaisa in'aam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 6. Us ghairat daar ki ghurbat par roti hai ali ki ghurbat bhi chalees baras jo kehta raha ash-shaam ash-shaam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 7. Shabbir ki janib se akbar qatil ko pilaya tha sharbat jab yaad ali ko aaya tha ek tashna kaam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) Haye ali, haye ali haye ali, maula ali