لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zakhm e akbar pe laila rida daal do

Mir Hasan Mir2018
ShiaNohaLyrics
Haye Akbar haaye Akbar..(3) Keh rahe the ye roro ke sarwar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo Mera farzand Hai khoon mein tarr..(2) zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 1) Zakhm se is qadar khoo'n bahaa hai khoon e akbar se tarr karbala hai Naiza e zulm ki loriyo se Laadla Mera soyaa huwa hai Koi isko jagaade na aakar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 2) Haath me khoo'n ki mehndi lagaalo Bass tasawwur me doolha banaalo Tumne maanii hai jo zindagi bhar Mannate aaj saari badhaalo Gurbato ka ye sehra sajaakar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 3) Meri behno ko kab ye pataa Hai Wo samajhtii Hai ye sorahaa Hai Sard Hai jism saakit Hai nabzein Mera kadiyal jawaa marchukaa Hai Haath seene se iskaa hataakar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 4) Ghum ki kaalii ghataa chaa rahii Hai Mujhko ye baat tadpaa rahii Hai Pardaa saidaaniyo ka luteyga Shaam e gurbat qareeb aarahii Hai Phir mayassar kahaa hogi chaadar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 5) Khaak me milgaya hai wo baano Jisko mitti bhi lagne na dii ho Kitne naazo se paala tha usne zakhm jaldii se bibi chupaado Binte zehra na dekhe ye manzar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 6) Haaye meri sakina ki gurbat Kaise dekhegi bhai ki mayyat Do janaaze na uth'tenge mujhse Wo to zindaan kii hai amaanat Marna jaaye kahii Meri dukhtarr zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 7) Usko ye kehke dena dilaasa Tuu ne dekha na bhai ka laasha Teri jaanib se maadar ne leykin Bekafan ko kafan dediyaa Tha Naam beemaar sughra ka leykar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 8) Aye hilaal ek mehshar bapaa tha Khaima e shaah maatam kadaa tha Ashq aankho se paiham rawaa the Aal e Ahmad me shor e bukaa tha Jab ye kehte the sibt e payambar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo Keh rahe the ye roro ke sarwar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo