لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aaj rukhsat ho rahi hai tumse zahra ya ali

Mir Hasan Mir2019
ShiaNohaLyrics
Alwida Fatema (3) Haye Baad baba ke jo guzri wo Musibat sunlo Ya ali fatema zehra ki wasiyat sunlo Aaj rukhsat ho rhi hai Tumse zehra Ya Ali(3) Parda e shab mein meri mayyat uthana Ya Ali Aaj ruksat........ 1. Pasliya todi gai kaise ye batlaungi mai Hashr ke maidaa'n mein bhi is haal mein aaungi mai Haath pehlu se na tum mera hatana Ya Ali Aaj rukhsat..... 2. Wo musibat aap ne achcha hua dekhi nahi Ab mai sidhe haath se tasbih padh sakti nahi Aisa kunfuz ne hai mara taziyana Ya Ali Aaj rukhsat.... 3. Haye.... Kehti hai zainab ye mujhse dekhkar chehra mera Aapke rukhsaar par ye neel hai kaisa pada Are Maine khaya hai tamacha, Mat batana ya ali Aaj ruksat..... 4. Taziyane ki aziyyat ka uthana ek taraf Wo tamache, qatle mohsin, dar jalana ek taraf Sabse mushkil tha magar darbaar jana ya ali Aaj ruksat..... 5. Jab meri talqeen padhna yaad kar lena zara Dar ke girne se mera baazu bhi hai toota hua Mere shano ko zara dhire hilana ya ali Aaj ruksat..... 6. Haye..... Chahe aajaye qayamat mujhse ye waada karo Jab talak maula mere shabbir ki marzi na ho Are Tab talak mera janaza mat uthana ya ali..... Aaj ruksat..... 7. Jab se aayi hu palat kar fikr hai mujhko yehi Mai to parde mein gai fir bhi zaeefa ho gayi Berida darbaar hai zainab ko jana ya ali.... Aaj ruksat...... 8. Karbala mein jab mere mazloom par khanjar chale Pyaas k aalam me wo ghazi ko jab aawaaz de Mai bhi aaungi waha par tum bhi aana ya ali..... Aaj ruksat..... 9. Haye... Haath pehlu pr rakhe boli takallum fatema Mai dua krti hu tum aamin keh dena zara Jald aaye mere Mahdi ka zamana ya ali..... Ya ali.............. Aaj ruksat.......