لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Taboot uth raha hai (Imam Sajjad)

Mir Hasan Mir2019
ShiaNohaLyrics
Mera beemar imam..(6) haye sajjad, haye sajjad..(2) Phir Fatima ke ghar mein, farshe azaa bicha hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai Karbobala ka zakhmi, yasrab mein chal basa hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai Phir Fatima ke ghar mein.... 1. Haye zere kafan bhi uski aankho'n se khoo'n hai jaari yaad aa rahi hai ghurbat sajjad ko padar ki roze se Mustafa ki aylaan ho raha hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai Phir Fatima ke ghar mein.. 2. Haye, baqir se keh raha tha sadaat ka gharana pehlu mein nanajaa'n ke mayyat na leke jaana pehle bhi ek janaza ghar wapas aa chuka hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai phir Fatima ke ghar mein.. 3. Haye, ab to madine walo tumko sukoo rahega royega aur na iski aankho'n se khoo'n bahega baba ko rone wala khamosh hogaya hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai phir Fatima ke ghar mein.. 4. Mayyat ke aage aage ye koi keh raha tha bazaar se na guzre sajjad ka janaza bazaar ko ye qaidi rota hua gaya hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai phir Fatima ke ghar mein.. 5. Haye, maara hai is tarha se zalim ne zeher deke kat katke bahar aaye iske jigar ke tukde haye pehlu pe fatima ke phir zakhm ek laga hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai phir Fatima ke ghar mein.. 6. Taboot se lipat kar kehti hai koi bacchi zindaan se hai aayi bhaiyya behen tumhari aankhein to khol lo ab sar par mere rida hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai phir Fatima ke ghar mein.. 7. Akbar jo laash e fizza dafna ke uthhe maula aayi sada e zainab baqir watan chala jaa sajjad ka janaza tayyar hogaya hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai phir Fatima ke ghar mein..