لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tu agar hota to aisa nahi hota ghazi

Mir Hasan Mir2019
ShiaNohaLyrics
Ghazi.. mere ghazi..(2) Mere ghazi.. Aayi jab karbobala laut ke binte Zahra qabr e abbas pe zainab ne kiya ye nauha tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi teri shehzadi yu darr darr na phirayi jaati tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi.. Haye,.. tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi Qabr e abbas pe zainab ye sada deti thi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi Haye, tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 1. Kabhi yasrab to kabhi sue najaf dekhte the kabhi tere kate shano ki taraf dekhte the sheh ne akbar ke kaleje se nikali barchhi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 2. Hogayi saniye zahra bhi zaeefa abbas saans leti hu magar mai nahi zinda abbas tere tukdo ki qasam teri behen toot gayi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 3. Pyaas mein bhi tujhe awaaz diye jaate the zere khanjar bhi tera naam liye jaate the gardan e shaah pe jab shimr chalata churi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 4. Haaye.. Mere haatho ko bhi rassi se gaya tha bandha mai bhi haatho'n ka na le paayi sahara bhaiyya jaise tu zee'n se gira wese mai naaqe se giri tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 5. Qaid khana bhi gharibi pe mere rota hai laash mastoor uthaye ye kaha'n hota hai farz beto'n ka nibha aayi ali ki beti tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 6. Kaise batlau wo darbaar ka manzar bhaiyya khelta tha sare sarwar se sitamgar bhaiyya maarta tha mere mazloom ke hoto'n pe chadi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 7. Qabr mein chayn se masoom ko sone na diya wo sitam dhaya gaya kaan'p gayi karbobala laash dhundhi gayi naizo se ali asghar ki tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 8. Ladkhada te the bohot pao'n to gir jaate the ho kaha'n mere jawa'n roke ye farmate the laash milti na thi bhaiyya ko ali akbar ki tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 9. Mir sajjad ye mehsoos karoge tum bhi aati hai roza e ghazi pe sada sarwar ki aaj bhi qaid hai zindaan mein bachhi meri tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi