لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas Sa Bhai

Mir Hasan Mir2020-21
ShiaNohaLyrics
Jab hue bazu e Abbas qalam darya par Gir ke thanda hua hazrat Ka alam darya par Garq e khoo'n hogaya wo behr e karam darya par Ghul tha zakhmi hua saqqa e haram darya par Mashk ko danto'n mein pakde hue yu laata hai Dahn e sher mein jis tarha shikaar aata hai Algharaz lasha e Abbas pe aaye maula Sar ko zaanu pe rakha aur yeh ro ro ke kaha bhai to aaj hamein keh do khudara bhaiyya Nazah mein bhai ko, Abbas ne Bhai bola aakhri saa'ns li aur daar e fana chod diya bhai ne bhai ki, aghosh mein dum tod diya Abbas haye Abbas, Abbas haye Abbas..(2) Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai..(2) Pardes mein looti gayi..(2) Haider ki kamayi Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai..(2) 1. Sheh ne yeh kaha lasha e saqqa e haram Baba ki tarha tum bhi juda hogaye hum se Do baar yateemi meri behno pe hai aai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai 2. Mazloom se maqtal mein chala hi nhi jata Jab khaak pe girte hai utha bhi nahi jaata Ghazi ki shahadat ne kamar aisi jhukai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai 3. Bachhi ne kaha shaah se farz apna nibhau Nazdeek agar hai koi basti to mai jau Ammu ka kafan layegi, ammu ki fidai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai 4. Abbas ke bachho'n se mai sharminda rahunga Maqtal se utha laaya hu, har ek Ka lasha Afsos ke Abbas ki, mayyat na uthai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai 5. Khat khaak pe dete the, qadam Zeen se jiske Maidan mein us sher ke, itne hui tukde Sajjad ne chaadar mein wo, mayyat hai uthai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai 6. Darya bhi tadapne laga yeh dekh ke manzar Yaad aane laga seena e ham shakl e payamber Jab mashk kate hath se mola ne chudai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai 7. Sadyo se hai taari ye fizaa ranj o alam ki Yeh chaand jo aujhal hua nazro se haram ki Phir sani e zehra ne kaha Eid manai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai 8. Ammu ki judai pe bohot roye hai baba Samjhati hai ro ro ke yeh bachho ko sakina Ab dena nahi koi bhi, pani ki duhai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai 9. Har matami seene mein bapaa hoga talatum Is Saal tera jaana, to mushkil hai takallum Nohay ki magar karb o bala tak hai rasai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai