لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aey Mere Be Zabaan

Mir Hasan Mir2020-21
ShiaNohaLyrics
Haye asghar, mere asghar..(2) Aye raaj dulare asghar, maa tujhko pukare asghar meri aankh ke taare asghar, aaja mere pyaare asghar Aye mere be zabaa'n, tum reh gaye Kahaa'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa Chehra wo chaand jaisa..(2) kaise bhulai maa Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa Aye mere be zabaa'n, tum reh gaye Kahaa'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 1. Kyya waqt aagaya hai, bano ki bekasi par Ghurbat pe tere matam, kaise karegi ki madar Aada ne bandh di hain..(2) hatho'n mein rassiya'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 2. Himmat pe maa tumhari, qurbaan kyu na jaye Sunti hu teer khakar, tum ran mein muskuraye Maadar ki laaj rakh li..(2) shabaash meri jaa'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 3. Maadar ki hai wasiyat, beta khayal rakhna Godi mein inki Asghar, jane ki zidd na karna Pehle hi hai shikasta..(2) dadi ki pasliya'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 4. Kya zere khaak ab bhi, soye ho mu chupaye Maa saari bibiyo'n se, sharminda ho na jaye Har ek shaheed Ka hai..(2) sar barsar e sina Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 5. Dushwar hogaya hai, ghum mein tumhare jeena Ab khali god jaa kar, maa kya kare madina Mujh ko wahi bula lo..(2) aye laal ho jaha'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 7. Haaye, Sansein to chal rahi hai, zinda kaha'n rahi hai Maa Zindagi se apni, aazadi chahti hai Mushkil khusha ho tum bhi, khulwado bediya'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 8. Jungle mein ek beta, aawaz gunjti hai Yeh soch kar bhi madar, maqtal mein ro rahi hai Lagta hai dard se tum..(2) lete ho siskiya'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 9. Yeh ujdi god beta, kaise sukoon paaye Haalat pe teri maa ki, haste hai shaam wale Daaman mein hai tumhare..(2) jhoole ki lakdiya'n Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa 10. Rote the sab takallum, ek maa ne jab Kaha tha Paigham Karbala mein, jakar hawa yeh dena Zindaa'n ke dar pe ab bhi..(2) baithi hai ek maa Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa