لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ali Akber Ki Azaan

Mir Hasan Mir2020-21
ShiaNohaLyrics
Akbar, Akbar..(2) Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allah, Allahu Akbar Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n Akhri fajar hai yeh..(2) is moaazin ke liye, phir yeh awaaz kaha'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n 1. Dasht mein pyaase moazzan ne, jo takbeer kahi Aagayi apne musalle pe, Ali ki beti Yaad phir aayi use, Apne Baba ki azaa'n ro padi aun ki maa Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n 2. Abhi kuch der salamat hai, haram Ka parda Sham ke waqt jab ayegi, azaano ki sadaa Jaa'n bachane ke liye, sar chupane ke liye chadarein hongi kaha'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n 3. Roke bete ne kaha baap se, hasrat hai meri Aap ki behen to sun leingi, sadaa Akbar ki In hawaon se kahein, rukh madine Ka karein meri sughra hai waha'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n Ash hadu anna mohammad ar rasoolallah 4. Naam aaya jo Mohammad ka, to roye maula Inna lillah padha aur yeh ghazi se kaha Is ko maarenge sinaa, yeh musalmaan bhala rehem khayenge kaha'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n Ash hadu anna ameer al mo'mineena wa imam al muttaqeena aliyun hujjatullah... 5. Aaya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kaha Mai fida aap pe Baba meri aulaad fidaa Teer Asghar ke lage, seena Akbar ka chide mujh pe khanjar ho rawa'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n 6. Kitna tadpega Hussain ibn e Ali aye beta Teri maa, teri phuphi, teri sakina, sughra Jee nahi payeinge sabhi, tujh ko barchi Jo lagi tujh mein hum sabki hai jaa'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n 7. Masjid e kufa nazar aane lagi karbobala do azano pe bohot royi, hai bint e zehra Aaj tak bhooli nahi, ek baba ki azaa'n ek Akbar ki azaa'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n 8. Kis qadar dard mein doobi thi sadaa Akbar ki gash se uth kar kaha Sajjad ne batlayein phuphi Sub kyu rote hai yaha'n, shor hai kaisa bapaa kaun deta hai azaa'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n 9. Kaise manzar ho bhala mir takallum ho raqam baab e sa'at pe hui satra(17) azane jis dam Sun ke ek-ek azaa'n, ro ke kehti thi wo maa mere Akbar ho kaha'n Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni Ali Akbar ki azaa'n Allahu Akbar..