لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho

Mir Hasan Mir2020-21
ShiaNohaLyrics
Uthhe hai haath khudaya isi dua ke liye Naseeb Ho Safar e ishq karbala ke liye Karbala, karbala..(2) Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho..(3) Phir laut kar waha'n se..(2) Na aana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho..(2) 1. Ankho'n ko jab bhi ashk bahana naseeb ho..(2) Aale nabi ke ghum ka bahana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 2. Aisa dar e Hussain pe sajda ho aakhri..(2) Phir mujhko apna sar na uthana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 3. Parwardigaar thokarein dar dar ki kab talak..(2) Ab mustaqil Najaf mein thikana Naseeb ho Phir laut kar waha'n se na aana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 4. Jaisa mila naseeb se ummul baneen ko..(2) Ab kya, ab kya.. ab kya kisi ko aisa gharana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 5. Mehshar yeh arzoo hai ke, be ghuslo be kafan..(2) Karbobala ki teh mei samaana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 6. Aa'nsoo gire the baali sakina ke jis jagah..(2) Apna waha'n pe khoon bahana naseeb ho Phir laut kar waha'n se na aana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 7. Ye kehke shaah nikle mazaar e Rasool se..(2) Pardes mein Kafan mujhe Nana Naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 8. Haaye, Asghar hai mere haath bandhe kehti thi Rabab..(2) Kaise tumhe gale se lagana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 9. Mashkeeza leke Roza e Abbas ke Qareeb..(2) Sab Zairo'n ko paani pilana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 10. Ek sar burida laashe ne bacchi ko di dua..(2) Zindaa'n se tujhko laut ke aana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 11. Nazdeek e khaima gaah sakina ki yaad mein..(2) Shaam e garibaa'n shamma jalana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 12. Sajjad shaam tak yahi karte rahe dua..(2) Chadar.. Chadar mujhe phupi ko udhana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho 13. Aye kaash phir se Mir takallum faraat par..(2) Mahdi.. Mahdi ko sheh ka nauha sunana naseeb ho.. Phir laut kar waha'n se na aana naseeb ho Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho Karbala, Karbala, Karbala, Karbala, Karbala... Karbala..