لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kadyal jawa'n ki laash

Mir Hasan Mir2020
ShiaNohaLyrics
Akbar.. haye akbar, haye akbar..(2) Haaye, ghode se girke jab ali akbar ne di sadaa apni kamar ko thaam ke shabbir ne kaha kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum are seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 1. Ye imteha'n za'eefi mein mujhko nibhana hai akbar ko leke khaima e zainab mein jaana hai raste mein ladkhadaye na shabbir ke qadam seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 2. Ghurbat pe apni roya hai khud ibn e fatima gir gir ke tay kiya hai ye maqtal ka faasla bus hum se door laash hai akbar ki do qadam seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 3. Laasha hai is qadar ke larazte hai mere haath laasha hai ye rasool ka, akbar ke saath saath do laashe ek saath uthaenge kaise hum seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 4. Is haal mein mujhe kahi'n Zahra na dekh le haye meri kamar jhuki hui, baba na dekh le aate hi honge meri madad ko shahe umamm seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 5. Seene mein kehke todi hai zalim ne ye sina ab dekhna hussain ki niklegi kaise jaa'n zalim ko ye batana hai ibn e ali hai hum seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 6. Is haal mein khayam mein jaunga kis tarha Zainab ki kayenaat uthaunga kis tarha Zahra ka chand karbobala mein hua hai kham seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 7. Amma ke saath milke sina maine khaich li haatho mein ab hamare wo taaqat nahi rahi Abbas kya gaye mere bazu hue qalam seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 8. Baahein gale mein daal di akbar ne jis ghadi ibn e ali ne roke takallum sadaa ye di saanse bachi hai ab mere akbar ke paas kam seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam