لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala chalo

Mir Hasan Mir2020
ShiaNohaLyrics
karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo karbala karbala karbala..(2) Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2) Karbala chalo... karbala chalo..(4) Karbala chalo... karbala chalo..(4) Karbala chalo... karbala chalo, karbala chalo..(2) Lo aagaya bulawa..(2) mazloom e karbala ka... 1. Maa muntazir hai bete ke ghumkhaar aayenge aakar mere hussain pe aasu bahaenge bint e rasool takti hai..(2) tum sabka raasta.... karbala chalo.... 2. Zahra ka laal qabr mein hasrat ye le gaya akbar ka kalma goyo ne pursa nhi diya ab sheh ko pursa dena hai..(2) kadiyal jawaan ka.... karbala chalo.... 3. Jee bhar ke apne bhai ko zainab na ro saki majlis zameen e karbobala par na ho saki armaan e sayyeda mein..(2) bichad e safe azaa.... karbala chalo.... 4. Khanjar tale hussain ki aahein gawaah hai halmin mugheesuna ki sadaein gawaah hai kab se hume bulata hai..(2) zahra ka laadla.... karbala chalo.... 5. Jis khaak ne chupaya tha bint e ali ka sar jisne kafan banaya tha laash e hussain par us karbala ki khaak ka..(2) karne ko shukriyaa.... karbala chalo.... 6. Baazu katake jis jagah abbas so gaye armaan bawafa ke jaha'n dafn hogaye aasu waha girayenge..(2) paani jaha'n gira.... karbala chalo.... 7. Qismat se waqt aayega jab ye hayaat mein tum apne betiyo'n ko bhi le jaana saath mein akbar ko wo sunayengi..(2) sughra ka marsiya.... karbala chalo.... 8. Ek saal baad bhai ka sar jis ghadi mila abid se roke kehti thi ye binte sayyeda dafnaungi mai hatho'n se..(2) sar apne bhai ka.... karbala chalo.... 9. Chehlum bhi apne baap ka bachhi na kar saki roti hui wo shaam ke zindaa'n mein marr gayi ae kaash koi kehde sakina se ye zara karbala chalo.... Labbaik, Labbaik, Labbaik Ya Hussain..(2) Halabikum ya zawwari, halabikum abad wallah ya zahra ma ninsa hussaina 10. Is saal arbaeen pe aisa ho ehtemaam ae kaash zaero'n mein ho shamil hamara naam aur de hamein bhi hazrat e abbas ye sadaa karbala chalo.... 11. Ghurbat musafiron'n ki musafir samajh sakein kaise chali thi bibiya'n andaza ho humein aasu bahate shehr e najaf se piyada paa karbala chalo.... 12. Chehlum pe jaise aati hai zainab bhi shaam se izn e safar mile jo takallum imaam se har ek qadam zahoor ki karte hue dua karbala chalo.... Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain Karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo