لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maqtal e Imam Hussain

Mir Hasan Mir2020
ShiaNohaLyrics
Ghareeb e Zahra ki ghurbat suno aye ehle azaa..(2) Akela reh gaya maqtal mein jab mera maula Sipaah e shaam ne charo taraf se gher liya Labe faraat tha har ek khoon ka pyaasa tha ghul charagh e imamat abhi bujhana hai zamee'n pe zeen se shabbir ko girana hai Ye sunke sang kisine jabeen par maara kisi ne pehlu mein barchi ka phal utaar diya kisi ne saamne aakar chalayi tegh e jafa ghareeb e Zahra ka zee'n par sambhalna mushkil tha Ali o Zahra ko rann mein rulaya jaata tha Hussain girte nahi the giraya jaata tha Haaye, Laga jo teer to asghar ko sheh ne yaad kiya pukara ghazi ko jis waqt sar pe gurz laga lagi jo barchi to akbar ko di tadap ke sadaa tamacha khooli ne maara to bole Ya Zahra Ali ko yaad kiya sar pe zarb chalte hue Hasan ko yaad kiya mooh se khoo'n ugalte hue Haaye, Zamee'n pe zeen se hazrat jo muh ke bal aaye jo teer seene mein the pusht se nikal aaye nikal ke pehlu se sab barchhiyo'n ke phal aaye qaraar kis tarha ab sheh ko ek pal aaye rakaab payro se ibn e Ali ki chhoot gayi tamaam pasliya'n sibt e nabi ki toot gayi Rakam kiya hai yeh, Rakam kiya hai yeh raavi ne dard ka manzar ke chalne wala tha jis dum hussain par khanjar behen se aage khadi thi hussain ki dukhtar kaha yeh shimr se us dum ghareeb ne rokar meri sakina, meri sakina kahi'n dum na tod de zalim rehem kar mere baalo'n ko chhod de zalim Haaye, padha tha dasht mein bejaa'n batool ka beta hussain zinda hai kya shimr se kisi ne kaha qareeb jaake ye ki shimr ne phir has ke sada wo dekho aa gayi maqtal mein saniye zahra ye sunte hi shahe dilgeer uth ke baith gaye behen ke naam pe shabbir uth ke baith gaye Haaye Hussain! Yeh kehke aage badha haath mein liye khanjar udhar tadapne lagi ek laash darya par idhar khayaam se nikli batool ki dukhtar ajeeb be adabi shimr ne ye ki aakar zara si bhi na murawwat dikhayi zalim ne kalam e paak ko thokar lagayi zalim ne Haaye, Ajab tarha se sitamgar ye kar raha tha sitam kabhi hussain ki zulfo'n mein haath the baaham pakad ke reeshe mubarak kabhi hasa azlam hataya balo'n ko khanjar se shimr ne ekdum kaha hussain ne dekho zara ali akbar laee'n ne rakh diya zaanu hamare seene par Haye, Chali jo zarb, farishto'n ne muh ko pher liya farishte kya the ke nabiyo'n ne muh ko pher liya hate nabi to rasoolo'n ne ko muh ko pher liya chale rasool to waliyo'n ne muh ko pher liya Hasan, Rasool, Ali bole ab Khuda jaane Hussain jaane, gala jaane, Fatima jaane Haaye, Ab iske aage takallum bayaan kya hoga lagi jo zarbein na nikla lahu ka ek qatra laeen ghaiz mein aakar sada ye dene laga Hussain jaldi bata mojiza ye hai kaisa kaha ghareeb ne tu pyaar maa ka kya jaane gale pe mere gala rakh diya hai Zahra ne Kaha Hussain ne amma hata le apna gala mazeed aap ho zakhmi yeh ho nahi sakta gale pe shaah ke khanjar laeen ka jo chala gale pe shaah ke khanjar laeen ka jo chala sada yeh aati thi subhana rabbiyal a'ala pisar ka khoon baha Sayyeda ki godi mein sar e hussain kata Fatima ki godi mein