لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bete ke qatilo se

Mir Hasan Mir2021
ShiaNohaLyrics
Haye akbar, haye akbar..(2) Ayna ayna ali akbar? Ayna ayna ali akbar? Haye akbar, haye akbar Haye akbar, haye akbar Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(3) Koi mujhe bata de, laasha kaha'n pada hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 1. Dil par meri bahan ke khanjar chala diya hai kisne hamare ghar ka suraj bujha diya hai din mein andhera meri, ankho'n mein hogaya hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 2. Pyaase ko bewatan ko, itna to mat satao chal chalke thak gaya hu, logo mujhe batao ab aur kitna baaqi, maqtal ka fasla hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 3. Ghazi ko tumne maara, mai chup raha na bola akbar ko maara naiza, mai chup raha na bola tumse sawaal karlu, itna to haq mera hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 4. Maa ko baghair dekhe, beta guzar na jaye pohcha do mujhko jaldi, mazloom marr na jaye awaaz aa rahi hai, wo hichki le raha hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 5. Khaime se jab chala tha, kehti thi meri behna pamaal ho na jaye, akbar ki laash bhaiyya kaano mein mere ab tak, baaqi wahi sadaa hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 6. Dil baitha jaa raha hai, rukte nahi hai aasu jungle se aa rhi hai, uske lahu ki khushbu kuch saanse chal rahi hai, ya sher chal basaa hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 7. Aulad e Mustafa se kis tarha phir gaye ho kadyal jawa'n ka marna aasa'n samajh rahe ho tumlog has rahe ho, dil mera ro raha hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 8. Ehle haram ki akbar, ummeed akhri hai kehti hai ye zaeefi, mera asaa yehi hai ab do qadam bhi chalna, dushwar ho gaya hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) 9. Ghurbat hai aur takallum ibn e shahe najaf hai koi bola is taraf hai, koi bola us taraf hai akhir pukare maula, ghazi tumhe pata hai akbar mera kaha'n hai? Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2) Haye akbar, haye akbar..