لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tu Na Aaya Ghazi

Mir Hasan Mir2021
ShiaNohaLyrics
haye abbas haye abbas al-e-imran kahan aur zindan kahan le behan qaid hui tu na aya ghazi jab rida sar se chini  mai sada deti rahi tu na aaya ghazi 1. aagai sham e alam lut gaye ehl e haram rait per jalti hui hogaya thanda alam pursa dene ke liye tujh se milne ke liye agaye baba ali tu na aya ghazi jab rida sar se chini me sada deti rahi tou na aaya ghazi 2. dhoop main to tha shajr tujh se abad tha ghar hai barhana mera sar kiya nahi tujh ko khabar aye alamdar e wafa us behan ko ba khuda tujhse dharas thi bari tu na aya ghazi jab rida sar se chini me sada deti rahi tou na aaya ghazi 3. kiya kahon sher mere be rida hum ko liye ye musalman saray shehr dar shehr gaye khalqat e kufa kabhi khalqat e sham kabhi baraha hum pe hansi tu na aya ghazi jab rida sar se chini me sada deti rahi tou na aaya ghazi 4. kitni bebas thi behan aye shehanshah e wafa naam le le ke mera jab ye zalim ne kaha naaz tha jis pe tujhe ab bulao na usay aur main roti rahina aya ghazi tou na aaya ghazi 5. hum ko pani na mile teri khushboo to rahay tere bazu na katain chahe mashkeza chiday ye magar ho na saka tere bazu hain juda mujh pe hai tashna labi na aya ghazi tu na aaya ghazi jab rida sar se chini me sada deti rahi tou na aaya ghazi 6. kya sakina se kahon aye mere dil ke sukoon haye pani ke liye beh gaya sub tera khoon abb koi aas nahi tou mere pass nahi rasi shanoon main bandhi na aya ghazi tu na aaya ghazi jab rida sar se chini me sada deti rahi tou na aaya ghazi 7. jab chali sheh pe churi aye mere sher e jari hath malti thi behan kuch qadam dur khari kaat gaya sheh ka gala haye bhai ne sada mujh ko har zarb pe di tu na aya ghazi jab rida sar se chini me sada deti rahi tou na aaya ghazi 8. qaid khane main qaza jab sakina ko mili de ke kurtay ka kafan bachi dafnaye gaye us ghari naam tera surat e naad e ali bus main dohrati rahi tu na aya ghazi…..x2 jab rida sar se chini me sada deti rahi tou na aaya ghazi 9. roya rehan kalam kar ke ye baat rakam khoon main doob gaya mera ghazi ka alam zakhmi zainab ka jigar khoon fishan shah ka sar aye khaymon main shaqi tu na aya ghazi jab rida sar se chini me sada deti rahi tou na aaya ghazitu na aya ghazi…..x3