لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chand ko dekhke sughra

Mir Hasan Mir2022
ShiaNohaLyrics
Sughra Ko Muharram Ka Jab Chand Nazar Aaya - 2 Yaad E Shahewala Ne Dil Aur Bhi Tarpaya Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain - 3 Aageya Mah E Muharram Haan Nahi Aaye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Yaad Pardais Main Aati Hai Lahad Amma Ki Ghar Ka Ahwal Sunane Ko Kaha Jaye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Aap Aaye Na Khabar Aayi Na Akbar Na Aaye Aary Kaisay Is Haal Main Sughra Se Jiya Jaye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Jab Se Ye Chand Muharram Ka Nazar Aaya Hai Amma Roti Hai Tujeh Aye Mere Maa Jaye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Koi Tasweer To Zahra Ki Rahi Parde Main Haye Ye To Acha Huwa Sughra Ko Nahi Laye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Naam Par Shah Ne Akbar Ke Kharidi Hai Zameen Kaisay Jaagir Tujhe Bhai Ki Dikhlaye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Eid Bhi Soog Ke Aalam Main Guzari Uss Ne Haye Akbar Kabhi Kahti Thi Kabhi Haye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Haye Mustakil Shah Ki Aakho Se The Aansu Jari Khat E Sughra Ko Mukammil Nahi Parh Paye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Haye Ik Ik Beti Se Rukhsat Huwe Khame Main Magar Haye Afsos Ke Sughra Se Na Mil Paye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain Likh Ke Noha Ye Takallum Ne Dua Magi Hai Har Azadar Ko Aashur Pe Bulwaye Hussain Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain