لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Abal Fazl

Mir Hasan Mir2022
ShiaNohaLyrics
Abbas Abbas Abbas Abalfazl Abalfazl Abalfazl Alamdar Ya kashefal karbe an wajhil Hussain, Iqshif karbi behaqqe akhikal Hussain Saqqiye Aale Abba Abalfazl Tishna Labe Karbala Abalfazl Chishma E Aabe Baqa Abalfazl - 2 Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Karb Shabbir Ke Chehre Se Mitane Wale Ranj Se Aale Muhammad Ko Chudane Wale Tham Le Hath Pareshan Azadaron Ka Aye Sakina Ke Liye Bazu Katane Wale Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Toot Jaye Na Meri Aaas aye Ummeede Haram Mere Zakhmo Ka Faqt Aap Ho Ghazi Marham Arbaien Pe Hame Bulwale Ziyarat Ke Liye Aap Ko Pehlu Shakista Kisi Bibi Ki qasam Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Hum Ko Dunya Ka Tarafdar Na Hone De Na Sirf Bato Ka Azadar Na Hone De Na Sadqa Shehzadi Ruqaiya Ke Bandhe Hatho Ka Ham Ko Mushkil Main Giraftar Na Hone De Na Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Likhdo Taqdeer Main Phir Karbala Jana Ghazi Apna Darbar Hame Jald Dikhana Ghazi Wasta Deta Hu Zakhme Ali Akbar Ka Tumhe Karbala Sare Javano Ko Bulana Ghazi Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Us ghadi nazro me ashoor ki rudaad aayi aansu aankhon me bhare hoto'n pe faryaad aayi saamne paani tha aur pi bhi nahi sakta tha mujko roze me teri pyaas bohot yaad ayi Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Tum ho shabbir ki beti ka sahara ghazi Bin tumhare na huva uska guzara ghazi Shimr ne jab bhi sakina to tamache maare usne baba ko nahi tumko pukara ghazi Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Us ghadi khaymaye sadaat me kohram hua Khoon bhara jis ghadi ranse tera parcham aaya Pyaasi mar jaungi aur paani nahi maangungi Todkar kuza ye maasoom sakina ne kaha Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Tune aacha hua bhai ki na gurbat dekhi Taane deta tha koi shah pe hasta tha koi Apne bhai ki madad ke liye ran me aakar Laash zainab ne uthayi hai Ali Akbar ki Shah ne rokar kaha - Abal Fazl Uttho mere bawafa - Abal Fazl Tanha hai bhai tera - 2 Abal fazl abal fazl abal fazl alamdaar Aakhri lamho me shabbir bade pyaase the Badi hasrat se sue neher nazar karte the Shimr has has ke lagata raha tera (13) zarbe Aur har waar pe shabbir sada dete the Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Mir sajjad baya'n kaise kare wo manzar Shaam ki fauj ne jab aag lagayi aaker Chhinne aa gaye jab sar se rida Zainab ki Us ghadi kehti rahi saniye zehra rokar Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Ya kashife karbe an wajhil Hussain Ikshif karbi be haqqe akhikal Hussain