لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se

Mir Hasan Mir2023
ShiaNohaLyrics
Haye abbas... Haye abbas.. {Kulsoom roke kehti thi ummul baneen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se }..(4) 1. Ummeed pyase baccho ki mujhse judi rahe..(2) wo chahta tha mashk e sakina bachi rahe yu teer rokta raha apne jabeen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se 2. Baba ka zakhm yaad hai gehra tha kis qadar..(2) aise hi tha do neem mere bawafa ka sar Haider ki tarha khan tha jaree jabeen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se 3. Haye.. Ek aankh me tha teer to ek aankh me lau Khaime ki raah dhundh raha tha wo char soo Haye, ek gurz ne gira diya..(2) bekas ko zeen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se 4. Rooh e ali ke bayn the haye mera safeer..(2) sar par bhi gurz, bazu juda, aankh mein bhi teer badla... badla mera liya hai mere janasheen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se 5. Saqqa haram ka dasht mein bejaan hogaya..(2) ab marna hussain ko aasan hogaya ye shor.. ye shor uth raha tha sipah e la'een se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se 6. Ghazi ki maut haal ye zainab ka kar gayi..(2) lagta tha jaise saniye zahra bhi mar gayi aise... aise giri wo jaise gira bhai zeen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se 7. Amma mai apne bete ka matam na kar saki hadd ye hai, qaid hoke mai jab sham ko chali..(2) baazu.. baazu utha ke choom na payi zameen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se 8. Akbar behen ye boli ghazab ki jafa hui..(2) asghar ke jaisi laash mere bhai ki bachi Abid ne uske tukde chune hai zameen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se Kulsoom roke kehti thi ummul baneen se Bin bazuon ke utra hai abbas zeen se ..(2)