لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shimr ne pehle sakina ko dikhaya khanjar

Mir Hasan Mir2023
ShiaNohaLyrics
Wa ghareeba.. Wa Hussaina Haaye Hussain Shimr ne pehle sakina ko, dikhaya khanjar..(2) Shimr ne pehle sakina ko dikhaya khanjar..(2) Baad mein gardan e sarwar pe chalaya khanjar Shimr ne pehle sakina ko, dikhaya khanjar 1. Haaye.. Kabhi Haider ne gala rakha, kabhi Zahra ne..(2) Kitne masoom pe zalim ne chalaya khanjar 2. Baap par waar to beti pe tamache barse..(2) jab bhi qatil ka sakina ne hataya khanjar 3. Ek anguthi ke liye kaat di angusht e hussain..(2) laash par sheh ki tujhe rehem na aaya khanjar 4. Qatl zainab ko kiya cheen ke chadar sar se..(2) is tarha shimr ne naize ko banaya khanjar Shimr ne pehle sakina ko, dikhaya khanjar 5. Ek sharabi ko azeeyat ka kaha'n andaza..(2) jis tarha chaha sitamgar ne chalaya khanjar 6. Aaye sajjad jo bazaar e madina mein kabhi..(2) badhke qassab ne jaldi se chupaya khanjar 7. Pher kar muh ko Ali kehne lage ya Zahra..(2) itni be dardi se.. itni be dardi se zalim ne phiraya khanjar 8. Haaye.. Wa hussaina ka hua shor 'takallum' barpa..(2) shimr mukhtar ke jab saamne laaya khanjar Shimr ne pehle sakina ko, dikhaya khanjar