لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zakhmi hai Fatima

Mir Hasan Mir2023
ShiaNohaLyrics
Haaye.. Darr jal chuka hai Yusuf e Zahra kab aaoge? Zahra sadaein deti hai, Maula kab aaoge? Al ajal, Al ajal Al ajal, Al ajal, Al ajal Allahumma ajjil li waliyikal faraj Allahumma ajjil li waliyikal faraj Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n Dekar sadaein aapko..(2), leti hai hichkiya'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 1. Pehlu shikasta hogaya jaldi sambhal lo binte nabi ko aag se aakar nikal lo Maula tumhari dadi hai..(2), sholo ko darmiya'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 2. Dekha to hoga zulm nigaahe Imam se beto'n ke saamne kabhi logo ko saamne khaye nabi ki beti ne durre kaha'n kaha'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 3. Afzal jo buturab hai kul kayenat se khaiber ko fat-ha jisne kiya apne haath se woh shere kibriya kaha'n aur rassiya'n kaha'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 4. Madar ka chehra takti hai hasrat se baar baar Zainab ke saath saath hai kulsoom beqarar chehre pe neel dekhke..(2), roti hai betiya'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 5. Ek zalzala sa taari tha qabr e rasool par zalim ne aise haath uthaya Batool par bikhri zamee'n pe toot ke..(2), Zahra ki baliya'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 6. Kis din zahoor paoge aye ibn e Fatima batla rahi hai Zahra ki yeh zere darr sada yasrab mein tumne dekhi hai, zakhmo se choor maa Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 7. Aye waris e rasool qayamat phir aagayi ghaibat mein tum ho aur, shahadat phir aagayi aakar suna to do hume..(2), ghurbat ki daasta'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 8. Har dushman e Batool ko tukdo mein baat do tumko qasam Hussain ki woh haath kaat do jis haath ka hai bibi ke..(2), rukhsar par nisha'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n 9. Ayyam e pursadari e Zahra ka waasta karte hai Qum mein Meer Takallum ye sab dua matam kare baqiyya mein..(2), har matami jawa'n Ya Sahib az Zama'n Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya'n Ya Sahib az Zama'n, Ya Sahib az Zama'n Allahumma ajjil li waliyikal faraj