لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Amad amad harame shah

Mir Hasan Mir2024
ShiaNohaLyrics
amad amad haram e shah ki darbar main hai subh se jashan ka ghul sham ke bazar main hai shor e fariyaad o buqa itrat e athaar main hai amad amad haram e shah ki darbar main hai hukum aya hai aseeron ko barabar maro jashan ka waqt hai dure inhein hans kar maro ik manadi ye nida deta hai aao logo baaghi aaye hain inhein shuk se pathar maro haye khoon main duba huwa sadaat ka har chehra hai girya kar sakte nahi aah pe bhi pehra hai sang bari ki aziyat bhi badi hai lekin zakham sadke ki khajooron ka bohat gehra hai haye dekh kar aal e muhammad ko hanse jate hain log har mod par bas tane jate hain chadaren kya hain kafan bhi nahi deta koi zinda lashe liye sajjad chale jate hain mustakil aal e muhammad main azadari hai aur beemar ki ankhon se lahu jari hai berida sham ke bazar main aate hain harm aaisa lagta hai kisi eid ki tayyari hai haye jholi bhar bhar ke sitamgar hain laye pathar patharon ne bhi hain hathon main uthaye pathar nok e naiza se gira khak pe sar asghar ka are chhote bachon se sakina ne jo khaye pathar bab e saat pe bhi zakhmo se bhare hain qaidi hai waram paon pe paidal jo chale hain qaidi are log tashheer ke khanjar liye aamadah hain teen din ho gaye maktal main khare hain qaidi haye darbar main jane ki ghadi kaisi thi honsla deti rahi sab ko ali ki beti saat sau kursi nashee door se dekhe jis dam thaam kar apni qamar bint e ali baith gai wada beti se nibhane ke liye aaye ali sani e zahra takallum paye tazeem uthi is gharibi pe tadapne lagi rooh e zehra baap ke sath jo beti sar e darbar gai