لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mahe Aza Lo Namodar Hua

Mir Hasan Mir2024
ShiaNohaLyrics
Arsh k taare Hussain-2 Zahra k pyare Hussain-2 Tum ho hamare Hussain-2 Hum hain tumhare Hussain -3 Hussain... Mahe aza... Mahe aza lo namodar hua Ghar me mere bich gaya farshe aza-3 Jaano dile Fatima-2 badshahe karbala, ban gaya mehmaa'n mera-2 Ya Hussain-3 Hussain Hussain Mahe aza lo namodar hua Ghar me mere bich gaya Farshe aza Falak pe phir se Muharram ka chand nikla hai Hussain walo ne kaala libaas pehna hai Kahi pe nauha kahi par sadae girya hai Shaah alaika assalam-2 Ay mere bekas imam Aap pe sab kuch fida-2 (Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2 Mahe aza lo namodar hua Ghar me mere bich gaya farshe aza Kisi k hath me Abbas ka alam hoga Koi uthayega taboot ibne Zahra ka Kahi se taziya jhula kahi se niklega Hogi Qayamat bapa, royenge ahle aza, shor hai ashur ka-2 (Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2 Mahe aza lo namodar hua Ghar me mere bich gaya farshe aza Gali gali me sabeelo ka ehtemaam hai phir Dilo ki pyas bujhane ka intezaam hai phir Ghareebe Zahra ka jari labo pe naam hai phir Aake sabeelo k paas, jo bhi bujhata hai pyas, deta hai dil se sada Hussain Mujrai jab k ayaa'n, mahe aza hota hai Arsh pe matame shaahe shohada hota Har anjuman me hai sina zani ki tayyari Naye kalaam hain sab ki zubaan par jaari Qadeemi tarz pe hoti hai phir Azadari Taziye khane khule, matami Shane khule, hota hai matami bapa Be abi anta wa ummi Ya Hussain -2 Kehta hai har dil yahi-2 Ho mere maa baap bhi, aap pe maula fida-2 (Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2 Mahe aza lo namodar hua Ghar me mere bich gaya farshe aza Tabarrukaat k sanduq laye jaate hain Alam pe patke pharaire sajaye jaate hain Sabeel lagti hain saqqe banaye jate hain Leke shaheedo k naam, bant te hain Pani k jaam, dete hain pyase dua (Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2 Haye hussaina-4 Karo Hussain ka matam Karo Azadari Farat aankho se jari ho aise ashko ki K Khali hath na jaaye rasool ki beti Hath me rumaal hai, maa ka ajab haal hai, deti hain bibi dua-2 (Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2 Mahe aza lo namodar hua Ghar me mere bich gaya farshe aza Alam pe mashke sakina saja k rote hain Kisi ko dhup me Pani pila k rote hain Kabhi kisi ko tabarruk khila k rote hain Naam idhar aagaya-2, sayyade mazlum ka, aankh se dariya baha-2 Ya Hussain-3 Hussain Hussain Mahe aza lo namodar hua Ghar me mere bich gaya farshe aza Hue hain khalq takallum ham iss aza k liye Hamari qaum k bache ghulam asghar k Jawan sab ali akbar k naam par sadqe Taaba zahure imam-2, royenge yeh khaso aam, wada hai iss qaum ka-2 (Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2 Bewatan Haaye hussaina Be kafan Haye hussaina Be khata Haye hussaina Be nawa Haye hussaina Haye hussaina