لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mil Saka na Jab Ali Akbar ka laasha

Mir Hasan Mir2025
ShiaNohaLyrics
Mil saka na jab Ali Akbar ka laasha der tak..(2) Ghutniyo chalte rahe.. Ghutniyo chalte rahe, maqtal me maula der tak Mil saka na jab.. 1. Jaane kis tarha tamache shimr ne maare use..(2) siskiya'n leti rahi..(2) pyaasi sakina der tak Mil saka na jab.. 2. Qabr mein laasha e Abbas ke tukdo ko rakhkar..(2) jaane kya kehte rahe..(2) Sajjad maula der tak Mil saka na jab.. 3. Aapka qasim yehi hai, Shah ko kehna pada..(2) maa kaha'n pehchan payi, apna beta der tak Mil saka na jab.. 4. Do kate haatho'n ka tha Zainab ko itna intezaar..(2) khaak par rakhe rahi..(2) laashe sakina der tak Mil saka na jab.. 5. Jab kaha mukhtar ne aye shimr tu khud hi bata kis liye tadpe zyada..(2) mere maula der tak Mil saka na jab.. 6. Shimr bola kya batau'n mera khanjar kund tha..(2) is liye tadpe zyada..(2) tere maula der tak Mil saka na jab Ali Akbar ka laasha der tak 7. Le gaya tha shimr to sar kaat kar Shabbir ka..(2) laash par roti rahi bete ki Zahra der tak Mil saka na jab.. 8. Tha takallum mar ke bhi Aun o Mohammad ka jalaal..(2) tegh ka qabza na shehzado ne choda der tak Mil saka na.. Mil saka na jab Ali Akbar ka laasha der tak