لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Abbas (a.s) Ya Abbas (a.s)

Mir Hasan Mir2025
ShiaNohaLyrics
Ae Shair e Nayastan e Haider Abbas Meri Bigdi Bana Daina Meri Baat Bana Daina Ya Abbas Ya Abbas Ya Abalfazl Al Abbas Ahl e Aza Ka Tum Ho Bharosa Tute Dilon Ki Aas Ya Abbas Jo Manga Hai Tum Se Manga Tum Dete Ho Ghazi Dunya Samje Ya Na Samje Tum To Samajte Ho Ghazi Koi Nahi Hai Mujh Ko Yaqeen Hai Tum Jaisa Hasas, Ya Abbas Bhai Ke Chahre Se Pareshani Ko Tune Door Kiya Ahl e Muwadat Ko Mushkil Ke Hal Ka Ye Dastoor Diya Kashif e Qarbi Ikshif Qarbi Aik Wazifa Khas, Ya Abbas Ya Syadi Ya Abbas Ya Abalfazl Al Abbas Be Saharo Ke Liye Tu Hai Sahara Abbas Tu Hai Mazloomo Ki Qismat Ka Sitara Abbas Sari Dunya Me Kahin Jab Bhi Koi Zulm Huwa Tujh Ko Masoomo Ne Ro Ro Kar Pukara Abbas Hoti Hai Jab Chashm e Enayat Dil Ki Kali Phir Khilti Hai Rozi Roti Izat Azmat Aap Ke Dar Se Milti Hai Saniye Haider Likh Do Mukadar Le Kar Klam Qirtas, Ya Abbas Lashkar e Ada Ki Zad Par Phir Shahzadi Ka Roza Hai Jan Se Jo Pyari Hai Tumhe Phir Se Wo Sakina Tanha Hai Mahdi e Deen Ko Izn Ata Ho Mazloomo Ki Aas, Ya Abbas Gham Gusaron Ko Aziyat Se Bachane Wale Be Khata Sare Aaseron Ko Chodane Wale Har Azadar e Hussain Ibn e Ali Par Ho Karam Ae Katte Hathon Se Taqdeer Bnane Wale, Ya Abbas Majlis Matam Karne Wale Apni Murade Laye Hain Hathon Ko Phailaye Huwe Yun Dar Pe Tumhare Aaye Hain Jis Ko Khuda Se Manga Ali Ne Tum Ho Wo Alfaaz, Ya Abbas Rahte Hain Masoom Jahan Par Hum Bhi Wahan Par Jayen Ge Kab Se Hain Pardais Me Mola Loot Ke Kab Ghar Jaye Ge Shair e Dilawar Saqi e Kosar Dil Bojado Pyas Ya Abbas Fakhr Se Dekhte Hain Shah e Madina Ghazi Ap Dono Ki Mohabat Ka Karina Ghazi Tere Parcham Se Bandhi Mashq Ko Daika To Laga Tujh Se Lipti Hai Teri Pyasi Sakina Ghazi, Ya Abbas Pyase Bache Tum Se Hi Umeed Lgaye Baithe The Mola Ko Jab Aate Daika Thame Alam Ke Kuchh Tukde Tishna Labon Ki Masoomo ki Toot Gayi Thi Aas, Ya Abbas Gyaran Muharram Ko Maktal Se Bint e Ali Jab Guzri Thin Bazo Burida Daikh Ke Tere Aahain Bar Kar Kahti Thin Uth Gaya Bhaiya Baap Ka Saya Aaj Huwa Ehsas, Ya Abbas Aap Ka Parcham Nisf Huwa Hai Jis Jis bhi Ghar Par Ghazi Mir Takalum Ki Hai Dua Abad Rahe Wo Ghar Ghazi Apne Alam Ka Saya Rakhna Haider Ke Akaas, Ya Abbas