لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Roti Sakina Hai

Mir Ibadath Ali2019
ShiaNohaLyrics
Haaye sakina haaye sakina (x 4) Rehwaar ke qadmo me roti sakina hai (x 2) Baba na mera le jaa (x 2) Kehti sakina hai. Rehwaar ke qadmo me.... 1) Baba ke bina mujhko kabhi chain na aayega. Seene ko bichona jo baba na banayega. Ye ghum judayi ka (x 2) Mujhe baba satayega Rehwaar ke qadmo me..... 2) Ye ghum bhi mere dil me baba utar gaya hai. Ammu ko bulati hoon jaane kidhar gaya hai. Wo chain sa zamana (x 2) Mera guzar gaya hai Rehwaar ke qadmo me..... 3) Baba tumhare baad jo zalim sitam karega. Na meri kamsini pe thoda rehem karega. Paband salasil ye (x 2) Ahle haram karega Rehwaar ke qadmo me..... 4) Ghurbat ki mere baba jab shaam aayegi. Ummath tere Nana ki tab qaime jalayegi. Baba hame ye ummath (x 2) Aur kitna rulayegi Rehwaar ke qadmo me..... 5) Baba tumhare baad musibat ye aayegi. Ummath dikhake pani zameen par wo girayegi. Pyase rahenge hum bhi (x 2) Na humko pilayegi Rehwaar ke qadmo me..... 6) Nauhakuna farmaan hua arz o sama hai Rota hamari bekasi pe ab ye jahaan hai Ab baali sakina ke (x 2) Labo par ye fughaan hai Rehwaar ke qadmo me roti sakina hai (x 2)