لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Berida shaam ke bazaae

Mir Rehan Abbas(Bangalore)2018
ShiaNohaLyrics
Berida sham ke bazaar me jaati hai behan Aankhen abbas khuli mat rakhna Bhaayi iss chand se chehre ko (2) na lag jaaye nazar Aankhen abbas khuli mat rakhna 1. Teri ghairath ye gawaara na karegi bhaiya Sab tamaashayi hain aur bhaayi behan be parda Badhti jaati hai aye abbas (2) kaleje me chubhan Aankhen abbas khuli mat rakhna 2. Tumko abbas bahut tha mere parde ka khayaal Aagaya sham ka bazaar aur zainab hain nidhaal Tere marne se  badhi zainabe (2) kubra ki thakan Aankhen abbas khuli mat rakhna 3. Aye wafadaar sakina ka gala jakdaa hai Ashk ke badle teri aankh se qoo’n behta hai Hoga ye ranj bhatije ke (2)hain haatho’n me rasan Aankhen abbas khuli mat rakhna 4. Thodi hee dair ko rukta tera sar naize par Berida sab mera sar dekhte phir tera sar Khauf hai soch ke rukhjaaye (2)na dil ki dhadkan Aankhen abbas khuli mat rakhna 5. Ek ghatree me hame’n laash mili qasim ki Dast me baad tere aisi qayamath tooti Run me paamal hua iss (2)tarha naushaah ka tan Aankhen abbas khuli mat rakhna 6. Algharaz qaafela zindaan me tha wavaila Ek din chaadare’n sab aayi hai ek sar aaya Ye sama dekhte the zainbe (2)kubra ke suqan Aankhen abbas khuli mat rakhna 7. Boli zainab ke sakina ki rida aayi hai Na yateema hai na ab zinda mera bhaayi hai Thi ye Rehan-o-Mubarak (2) toh ajab see uljhan Aankhen abbas khuli mat rakhna Berida sham ke bazaar me jaati hai behan Aankhen abbas khuli mat rakhna Bhaayi iss chand se chehre ko (2) na lag jaaye nazar Aankhen abbas khuli mat rakhna