لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Muslim se koi puche zainab ki beridayi

Mir Rehan Abbas(Bangalore)2020
ShiaNohaLyrics
Muslim se koi puche zainab ki beredayi Koofe me jab bahen ne roodade gham sunayi 1.Balon se munh chipa kar zainab ye kahrahi thi Bhayya hamari ghairat pamal ho chuki thi Lekin kisi ko ran me bilkul haya na aayi 2.Abbas Mar chuke hain akber bhi ab nahi hain Qasim bhi Mar chuke hain asghar bhi ab nahi hain Barbad ho chuki h bhayya teri kamayi 3.Jinke saron ki janib Sooraj ne bhi na dekha Lekin yahan pe bhayya majma sharabiyon ka Ahle haram ki aakar karta hai roonumayi 4.Aankhen to kholo apni har gham bhula chuki hoon Bhayya mai tumse milne koofe tak aagayi hoon Koi bacha na apna bacche rahe na bhai 5.Honton pe hichkiyan thin pairon me aable the Kanton ke raston per hum log chal rahe the Sajjad kar kar rahe the uswaqt rahnumayi 6.Chader bhi chin rahi thi aansoo bhi bah rahe the Khaime bhi jal rahe the gham yunhi sah rahe the Tab khud ali ne aakar himmat meri barhayi 7.Har samt behayayi bazar me khadi thi Mai ek reda ki khatin pal pal tadap rahi thi Lekin teri bahen ne bhayya reda na payi 8. Ay shams bibyon me kohram mach gaya tha Ek bhai ek bahen se Rehan kahraha tha Majboor ay bahen hai iswaqt tera bhai