لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

So gaya asghar

Mir Rehan Abbas(Bangalore)2020
ShiaNohaLyrics
Sogaya Asghar mera aur alqama behti rahi Haaye bekas bezubaan par zindagi roti rahi Haaye asghar mere asghar kehke maa roti rahi 1. Nanha tha masoom tha aur phool tha uska badan Teer se bhi kamm tha logon mere asghar ka badan Karke banu umr bhai ye gham bayan roti rahi 2. Teen din ki pyas ko bhi muskara kar seh gaya Baahon me shabir kr asghar tadap kar reh gaya Hurmela maloon ke haathon me kama roti rahi 3. Aayi jab shaame gharibaan zulm had se badh gaya Ek gehwaara tha ab wo bhi tumhaa jal gaya Dekh kar aghar ke jhoole ke nishaaan roti rahi 4. Akbaro asghar ka gham us par qatamath kar gaya Qaasimr naushaah tukdon me bikhar gaya Sub ke zainab baade karbal bhi azaan detee rahi 5. Qabr nanhi see banakar zaqmi haathon se rubab Dafn kar deti thi aksar us me ek nanha gulab Hai mera asghar yahan ye keh ke mas roti rahi 6. Shame ashoora nabinki aal ka parsa luta Nauke naiza se zameen par ba wafa ka sar gira Zainabe dilgeer ki qaatir rida roti rahi 7. Shaam ke zindaan me maa ko sukoon aataa nahi Mera asghar mere pehlu ke bina sota nahi Shams karke maa yahi aaho fughaan roti rahi