لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Fizza Na Ye Batana

Mir Rehan Abbas(Bangalore)2021
ShiaNohaLyrics
Haaye zehra s.a (2) Haaye fizza (3)(2) Ek roz ro ke fizza se zehra s.a ne yeh kaha Pehlu shikasta ho gaya, Tum ko hai bus pata Yeh raaz raaz rakhna ke, tooti hai pasliya Fizza meri musibaten, karna na tum bayan Fizza.... Fizza na yeh batana... Pehlu huwa shikasta, Fizza na yeh batana Haider a.s se meri ghurbat, Lillahh tum chupana Fizza na yeh batana... 1)Pehlu huwa shikasta, tum ko bhi na batati Zehra s.a tumhe madad ko, hazrgiz na phir bulaati (2) Mushkil agar na hota, darr ko mera uthana Fizza na yeh batana... 2)Jab se huwa hai fizza, pehlu mera shikasta Pehlu se haath mera, Uthta nahi hai fizza (2) Bacho ko chahti hoo, Apne gale lagana Fizza na yeh batana... 3)Deewaro darr mai piss kar, mohsin a.s bhi margaya hai Tooti hai pasliya sab, darwaza yu gira hai (2) Yeh raaz raaz rakhna, bacho se bhi chupana Fizza na yeh batana... 4)Pehlu ka dard mujhko, har aan maarta tha Pehlu ke tootne se, mushkil tha saans lena (2) Tadpi hoo dard se mai, kitna nahi batana Fizza na yeh batana... 5)Be parda shamiyo mai, jaayegi meri beti Tum aaj se aye fizza, Goya ke maa ho iski (2) Zainab s.a ke saath tum ko, Bazaar bhi hai jaana Fizza na yeh batana... 6)Tum jaanti ho fizza, lagti hai pyas usko Mera hussain a.s shab mai, awaaz de jo mujhko (2) Pani mere pisar ko, fizza tum hi pilana Fizza na yeh batana... 7)Badle Ali a.s ke shaami, beti se meri lenge Jis waqt laadli ko, pathar meri lagenge (2) Zainab s.a ke badle pathar, fizza tumhe hai khana Fizza na yeh batana... 8)Danish Rehan tum se, razi rahenge Haider a.s Kousar ka jaam denge, Tum ko ba-roze mehshar (2) Zehra s.a ki tum musibat, har gaam par sunana Fizza na yeh batana...