لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ! Jaati Hai Behan Ab Beparda

Mir Rehan Abbas(Bangalore)2022
ShiaNohaLyrics
Abbas Abbas ! Jaati hai behan ab beparda Saqqa Saqqa ! Ek pyasi behan ka sar hai khula 1. Jab zee’n se gire bin haathon ke, bhaiya mere mun ke bal the pade Karwat bhi badalna mushkil tha phir bhi na kisi se lab khole Haalat teri dekhen koun bhala saqqa hai behan ko ye sadma 2. Jis tarha watan se laaye the ham, waise hee bhala kaise jaaye Kya zulm hue chadar bhi chini, kis tarha haram chadar paayen Utho bhaiya utho bhaiya chadar toh dilado aye saqqa 3. Aye sher tu kitna pyasa tha, zainab ko teri ehsaas hua Aur tashna dahan bhi maara gaya, do ghoont tumhe paani na mila Mashkiza chida dil toot gaya, pani nahi tera khoon baha 4. Jab tak tu raha zinda bhaiya, nazren na uthata tha koi Zehra ki mai beti hoon ghazi, Aa sar pe mere chadar na rahi Aa sar pe mere saaya karde, aye bhayi mere phir sojaana 6. Thi teri khata bhi koi nahi, aur sar pe tumhare gurz laga Behne roti hain ye kehkar, bhaiya ko mere kisne maara Sambhla na gaya tum se zeen par, sar khoon me tera doob gaya 7. Laaye the watan se jiss tarha uss tarha watan ab pahunchaa do Bhaiya meri chadar dilwado mehmil me bhi mujhko bithwado Abbas mere aa dekh zara Hai teri behen ka shaana bandha 8. Kisme yeh bhala jurrat aati jo baandhta shaano mai/par rassi Bhaiya mere zinda hote agar chadar na mere sar se hatti/lutti Mai saniye Zehra hoo ghazi Kis tarha rahoongi beparda 9. Rehan o mubarak zainab ka pardes mai yu ghar baar luta Bhaayi pardes mai maare gaye shaana bandha parda luta gaya Moqtal mai chaudha sadi se hai fathima zehra par noha