لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Akbar Tere Seene Se Sina Kaise Nikaalu

Mir Rehan Abbas(Bangalore)2024
ShiaNohaLyrics
Dar hai ke nikal aaye na seene se kaleja Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu Ye soch ke dil tukde hua jaata hai mera Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 1. Aasaa’n nahi hai peeri me sehma koi sadma Ek baap ka marna hai jawaan bete ka marna Dam niklega tera toh mai marjaunga beta Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 2. Seena tera zaqmi hai lahu behta hai saara Ulfat ka taqaaza hai ke kuch bhi nahi dikhta Seene ke tere baap ne, bachpam me hai chuma Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 3. Tar khoon me bete ko bhala dekhegi kaise Jaari hai abhi khoon tere zaqme jigar se Marjaayegi ye dekh ke, maadar teri laila Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 4. Barchi jo nikaali to na reh paapge zinda Mushkil me bahut aaj hai beta tera baba Maloom hai marjao kuch der me beta Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 5. Haatho’n me nikal jaayega dam aye mere beta Is dast me reh jaaunga ab bekaaso tanha Ye soch ke rota hai, bahut ye tera baba Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 6. Qasim bhi nahi ab mera abbas kahan hai Har simt sitamgaar hain dushman ye jahaan hai Tanha hi uthaana hai mujhe ab tera laasha Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 7. Baithi hai yahi aas lagaye hue dukhya Dulha main banaungi mera aayega bhaiya Sehre ko sajaati hui reh jaayegi sughra Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 8. Nana ki shabeeh chor ke tum bhi chale hamko Ruk jaao abhi dekh lo je bhar ke mai tumko Kyun chor ke jaate ho mujhe is tarha beta Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu 9. Aye Danish o Rehan kpi kaise likhega Ek baap ne dekha hai nikalte jo kaleja Kehte hue shabir ne jab naiza nikaala Akbar tere seene se sina kaisa nikaalu