لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye Bemaar Chala

Mir Tajamul Abbas Faiyazi2022
ShiaNohaLyrics
Bekafan chord ke maqtal me padar ka lasha Haye beemaar chala Shurkh chehre pe udasi ko liye rota hua Haye beemaar chala Kis tarah sayyad e abraar ko de gusl o kafan Yaad aane laga pardes me aabid ko watan Hoke beyaar o madadgaar gharibul ghuraba Haye beemaar chala Jism se loot liya sheh ka sitamgar ne libaas Laash dhakne ke liye hai nhi chadar koi paas Aese halaat me bhi karta hua shukr e khuda Haye beemaar chala Kaanpte kaanpte aage jo badhata hai qadam Khaye jata hai isi baat ka sajjad ko gham Dhoop me sayyad e masloom ka lasha hai pada Haye beemaar chala Huqm rone ka inhe baani e shar ne na diya Do ghadi baap ki mayyat ke thaharne na diya Taziyane ko liye shimr e sitamgar badha Haye beemaar chala Koi bhi sayyad e sajjad ka diljoi nhi Aurte bacche hain mardo me bacha koi nhi Laash e sarwar ki nigehbaani kare kon bhala Haye beemaar chala Zabt ka waqt hai aansu na bahao beta Hai yahi huqm e khuda qaid me jao beta Aayi jab halq e burida se ye sarwar ki sada Haye beemaar chala Eyk bete ke liye hai ye musibat ki ghadi Hathkadi hath me pairo me hai zanjeer padi Tauk gardan me hai or ghere hain sab ahl e jafa Haye beemaar chala Rauza e shah pe Naukar ye parhege Nauha Apk laal ki ghurbat ko Karen kaise Ada Aaj tak sayyed e sajjad ki aati h sada Haye bimar chala