لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Be Sar Pada Hai Dasht Mein Lasha Hussain Ka

Mirza Jaffar Abbas2025
ShiaNohaLyrics
Be sar pada hai dasht mein lasha Hussain ka Pamaal haaye ho gaya lasha Hussain ka 1-sar par laga jo gurz tho tadpe wo zeen par Tadpa hai nehr pe bhi bhai Hussain ka 2-Jab zeen se Zamee’n pe aane lage Hussain Teron se chalni chalni badan thha Hussain ka 3-Barsat horahi thi teron ki dasht mein Rondha gaya hai dasht me laasha Hussain ka 4-Talwaar kund karke chala shimr qatl ko Najaane Khoo’n ka pyasa thha kitna Hussain ka 5-Jab shimr zibha Karne ko aaya sare hussain Pyasa gala thha haaye Moula Hussain ka 6-Haye MAA ke saamne Kiya zibha Hussain ko Tadpa raha thha maa ko yun qatil Hussain ka 7-Naize pe sar Hussain ka aya toh ye kaha Poora huwa aye naana waada Hussain ka 8-Ghodon ke daudne se tooti hain hadiya’n Pamaal Yun Kiya gaya lasha Hussain ka 9-Jaffar na kaise roye Sajjad(a.s) umr bhar Dekha hai zulm aur wo lasha Hussain ka