لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zehra ki aayate hai bazar me khule sar

Mirza Rehan Ali Firdosi2017
ShiaNohaLyrics
parda tho banawo aankhon ko jhukaawo...(2) zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) ab bhej aasmaa se mabood koi chadar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) bazaar dushmani ke harsu saje huwen hain majma laga huwa hai sar bhi khule huwe hain ab tak kisi ka kunbha aise phira na dardar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) apni rida me kaaba thu hi inhe chupaale zehra ki betiyun ko ye ghum na maar daale jaana hai peshe haakim bazaar se guzar kar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) halath bayaan ho kaise aulaad e mustafa ki baazu bande huwe hain sar hain tamaam zaqmi has has ke shaam waale barsaa rahen hai pattar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) ruksaar phat gayen hain zaqmi huwa hai seena zalim ki seeliyon se bechain hai sakina abbas ko bathade darya pe koi jaakar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) aale nabi ke jaisa mazloom ghar na dekha taareeqe bekasi me aisa safar na dekha har gaam ek qayamath har gaam aik mehshar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) ummath ne mustafa ko marqad me phir rulaaya phir zalimo ne yaa rab zehra ka ghar jalaaya looti sitamgharun ne syedaniyon ki chaadar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) dushwaar reheguzar hai mahool pur khatar hai aabid hain paa barhaina kaanton bhara safar hai hay na thawan musaafir rasta katega kyun kar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) ye majlise ye noha ye be kason ka matam raktha hai aarzu ye rehan bilaale purghum binte nabi hon raazi karle qobool sarwar zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2) parda tho banawo aankhon ko jhukaawo...(2)