لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Beti Ali ki

Miscellaneous1990
ShiaNohaLyrics
beti ali ki turbate zehra pe aayi hai kurta lahoo bhara hua bhai ka laayi hai kehti hai ay hussain ki amma utho utho zainab se karbala ka zara maajara suno amma hamare ranjo masayab hai dard naak amma hamare qalbo jigar ho chuke hai chaak amma hamare nana ki ummat ne ki dagha amma hamare khoon ko samjhe hai sab rawan kehti hai ay hussain.... amma taras ke reh gaye pani ko ham tamaaam amma diya na humko kisi ne bhi ek jaam amma hamare mard tahay taygh hogaye amma nahake khoon may bechare sogaye kehti hai ay hussain.... amma pade hai nehr pe abbas rooth kar amma sakina soti hai zindan may bepidar amma kahan se akbare mehru ko laaun mai amma kahan pe asghare nadan ko paaun mai kehti hai ay hussain.... amma wo mere auno mohammad mere pisar maidane karbala may pade hai kata ke sar amma lahoo may doob ke qasim bhi chal basay amma hassan ko moo na dikhane ke hum rahe kehti hai ay hussain.... amma hussain karbobala hi may rehgaye amma hussain saare masayab ko seh gaye amma hussain margaye beyaaro bewatan amma hussain ko na mayassar hua kafan kehti hai ay hussain.... amma hamari chadarein bhi chin gayi tamam amma hamare haal pe haste thay ehle shaam amma wo shaame ghurbate shabbir aah aah amma wo raat kaali wo sunsaan qatl gaah kehti hai ay hussain.... amma ye haal abide bemaar hogaya zaalim sipah ne leliya bistar ghareeb ka amma qadam qadam pe aseeri rulagayi gardan may taukh paon may zanjeer aagayi kehti hai ay hussain.... amma wo bibiyo ka tadapna wo shoro shayn amma rahegi yaad wo aaho buka wo bayn amma rabab roti hai asghar ko suboh shaam akbar ko yaad karti hai laila-e-tishna kaam kehti hai ay hussain.... baazu ke neel dekhiye amma khuda gawah maqtal ki gard bangayi absha khuda gawah amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi amma hamare haal pe roti hai bekasi kehti hai ay hussain.... amma bataiye to mai ab jee ke kya karoon kis tarha ab hussain ki furqat ka gham sahoon aayi nida fughaan ke sare hashr ham bhi ab kurta lahoo bhara hua rakhdenge peshe lab