لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Alam-e-Shab-e-Zarbat Ae Momino Aayi Hai

Miscellaneous2002
ShiaNohaLyrics
Alam e Shab e Zarbat ae momino aayi hai Tareek si duniya me har simt ko chhayi hai Unniswi ramzan ko shab bhar mere maula ne Takiye pa na sar rakha aur neend na aayi hai Gahe hujre me jaate hai gahe sehan me aate hai Iss tarah se Haider ne woh raat bitayi hai Kulsum ne jab dekhi iss tarah ki betabi Ro ro ke padar ko tab yeh baat sunaayi hai Kufe se kahin baba kya subah ko jaana hai Ya fauj koi ladhne yaan aapse aayi hai Kaisa yeh tarradul hai maloom toh ho aakhir Soye nahi hai baba shab iss qadar aayi hai Farmaya yeh Haider ne kya poochti ho beti Na Darr hai kisi lashkar ka na koi ladayi hai Kal subah ko jaana hai darbar me khaaliq ke Iss zikre tarradul me shab iss qadar aayi hai Aasaar hue paida nagaha qayamat ke Haider uthe yeh kehker lo abh sehar aayi hai Murgaabiya jab lipti qadmo se toh farmaya Kyu rokti ho mujhko abh waqt e judaayi hai Yeh kehke Ali aaye masjid me toh kya dekha Qandeel hai gul saari tareeki si chhayi hai Farzand hai muljim ka leta hua masjid me Aur zere bagal usne talwar chupaayi hai Farmaya yeh Hazrat ne uss dushmane khaliq se Mashghool e ibadat ho zaalim sehar aayi hai Main khoob samjhta hu jo tera irada hai Kyu zere aba tune talwar chipaayi hai Gar qatl mujhe kerna manzoor nahi tujhko Phir zehar me kyu zaalim talwar bujhaayi hai Yeh keh ke Ali aaye mehraab e ibadat me Phir ahle jama-at ne saff aake jamayi hai Farzand bhi muljim ka aaya saff e awwal me Jo dil me irada hai aaghaaz khudaayi hai Sajde me gaye Haider jab Khaliq e akbar ke Be-deen badha saff se aur zarb lagayi hai Khoon ker diya sajde me afsos namazi ka Pashaniye aqdast per talwar lagayi hai Haider ki mohabbat hai gar dil me toh sar peeto Unniswi ramzan ki ae momino aayi hai Hai hukum e Khuda sabko lene ke liye jaao Jannat me payambar ka abh aane ko bhai hai