لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai Shabbir ki Kamar ko hai Jukha raha hai 1 Yeh Alam Hussainiyat ki pehchan kerata Yehi Yazeediat kai her farq ko batata Koi Choomta hai aaker koi jala raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2 2 Deti thi dilatai main aayai ga abhi pani Sab mil kai dua mangon Ghazi ki hai jawani Kyun khaali alam baba khaimai mai la raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2 3 Mushkil kusha ka beta kerta hai yun qayazi Kuch mang ker to dekho daita hai mera Ghazi Hai hath alam per jo ghazi bula raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2 4 Zainab ki kiyadat sai avaz yeh hai ayi chadar ka jo wada tha waapis hun lainai aayi Tatheer ka hai zaman maqtal main ja raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2 5 Mamnun tera hun main likhna sikha diya hai Sajjad tu is qabil mola bana diya hai Teri wafa ki baatain sab ko suna raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2