لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ali ali haye ali

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Allahu akbar x4 Guldasta e azan se moazzin ne di sada Qaim hui namaz uthe shahe lafata Baad e ruku sajda e khaliq me sar rakha Sajde se sar uthate hi haye gazab hua Ayi nida e ghaib se haider hue shaheed Ghar me khuda ke Saqiye Kausar hue shaheed Ali Ali haye Ali aye mere maula .....x2 Sajde me sar zakhmi hua Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali aye mere maula Sajde me sar zakhmi hua Sher e Khuda ka) x2 Aalam me numaya hain jo aasar e Qayamat Sadat me kohram macha maare gaye hazrat Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Aalam me numaya..... Sadat me kohram.... Mabud ke ghar me hui bande ki shahadat Sar sajda e Khaliq me kkata Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali ...... Sajde me sar .....)x2 Hain Zainab o Kulsum ke chehron pa udasi Abbas ke rukhsar pa hain dard e yateemi Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Zainab o Kulsum ke.... Abbas ke rukhsar.... Hasnain ki ankho se na kyu ashk ho jari Aalam me hain taboot utha Sher e Khuda ka (Ali Ali haye .... Sajde me sar zakhmi.....) x2 Tharrane lage dard se masjid ke dar o baam Ek pal bhi lehad me nahi Hazrat ko hain araam Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Tharrane lage...... Ek pal bhi.... Yeh dekhke kehkhana e Zehra me hain kohram Ghar se jo janaza hain chala Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali... Sajde me sar zakhmi.....) X2 Teghe bine Muljim jo chali fark e Ali par Is zulm se aalam me bapa ho gaya Mehshar Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Teghe bine Muljim jo.... Is zulm se ...... Markab me larazne lagi khud ruh e payambar Jibreel ne bhi nauha padha Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali.... Sajde me sar zakhmi......) x2 Kufe me khabar pheli Haidar hue zakhmi Mehrab me damad e payambar hue zakhmi Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Kufe me khabar..... Mehrab me..... Girya hain falak Saqiye Kausar hue zakhmi Matam hain zamane me bapa Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali .... Sajde me sar zakhmi......) x2 Kufe ke yateemon ke labon par hain yeh faryad Ab kon ghareebon ki karega bhala imdad Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Kufe ke yateemon.... Ab kon ghareebon..... Koi bhi sahara nahi hum ho gaye barbaad Ghar sog me hain dub gaya Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali.... Sajde me sar zakhmi....) x2 Ab Aal e Mohammad ka nahi zabt ka yaara Bikhra hua masjid me hain Qur'an ka para Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Ab Aal e Mohammad.... Bikhra hua masjid ..... Qur'an ke maathe se rawa khoon ka hain dhaara Shamsheer se sar zakhmi hua Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali.... Sajde me sar zakhmi....) x2 Teghe bine Muljim se hain zakhmi sar e anwar Aur khoon se namazi ke masalla bhi hua tar Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Teghe bine Muljim... Aur khoon se.... Aate hain nazar khoon me dube huwe Haidar Masjid me lahu behta raha Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali.... Sajde me sar zakhmi....) x2 Maula ka mere kya ho bayaan haal e shahadat Is haal me bhi karte hain qaatil kI ziyafat Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Maula ka mere .... Is haal me bhi... Allah re yeh jazba e issar o murawwad Hamsar koi kya hoga bhala Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali... Sajde me sar zakhmi....) x2 Sar peetke rote hain jo Zehra ke dulare Aakas pe larza hain chamakte hain taare Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Sar peetke rote.... Aakas pe larza .... Yu Haidar e Karrar hue khuld sidhare Muh takti rahi aal e iba Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali.... Sajde me sar zakhmi.....) x2 Mazhar yeh rakam nauha gam karta rahega. Aur usko Raza shaam o sehar padhta rahega Ek Naara Haidari Ya Ali ya Ali ya Ali madad haq Haideri Mazhar yeh rakam.... Aur usko Raza shaam ... Har daur me apna yeh alam uncha rahega Saya hain saron pe jo sada Sher e Khuda ka (Ali Ali haye Ali.... Sajde me sar zakhmi....) x3