لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ali ke baad alamdare bawafa ghazi

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Mere ghazi, mere ghazi.. Mere ghazi, mere ghazi(2) Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi..(4) Janab e fatima zehra ki hai dua ghazi Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi 1. Furaat ki thi sada mile alam ki hawa qaraar aaye mujhe ali ke maahlaqa alam agar mere seene se ho laga ghazi Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi 2. Mili jo izn e wigha kahegi karbobala zamee' larazti hai kyu ye roze hashr hai kya ali hai tegh bekaf ya ke aagaya ghazi Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi 3. Duroon e mashk hai jaa'n alam hai mera nishaa'n dua sakina ne di shaqee chupe hai kaha'n alam uthaye labe nehr khada hai ghazi Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi 4. Karu mai jung agar, baghair tegh o tabar zamee'n zamee'n na rahe falak gire sar par farishte kehne lage badhke marhaba ghazi Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi 5. Jigar hai khoon ki sham qavi hai tashna dahaam bhatiji ho ke bahan labo pe sabki hai jaa'n ab aise haal mein kyu kar na marr gaya ghazi Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi 6. Hai al atash ki sada payam e maut mera sakina roke kahe kaha ho aao chacha batau kaise ke be dast hogaya ghazi Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi 7. Shikasta mashk hui ajal hai sar pe khadi tamaam pani baha sakina kehti rahi hai teen roz se sukha mera gala ghazi Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi 8. Rehan mera qalam hai mere ashko se namm qadam furat mein hai lahu mein dooba alam kamar hussain ki tooti thi jab gira ghazi ali ke baad alamdare bawafa ghazi