لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Apne markaz pe khada ashk bahaega husain

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Apne markaz pe.. Apne markaz pe khada ashk bahaega husain Amma jab tak na bulaogi na aaega husain..(4) 1. Roke sarwar ne kaha aankh to kholo amma itni khamosh ho kyu mujhse to bolo amma yaad nana ki jo aai hai to rolo amma thak gai ho to zara der ko solo amma Apne markaz pe.. 2. Mujhse baba ka sisakna nahi dekha jaata ghumzada bhai ka girya nahi dekha jaata ab to kulsoom ka rona nahi dekha jaata mujhse zainab ka tadapna nahi dekha jaata Apne markaz pe.. 3. Ashk aalood fiza ghum ki ghata chhai hai har kali gulshane islaam ki murjhai hai haye kis mod pe taqdeer hame laai hai aale ahmed pe musibat ki ghadi aai hai Apne markaz pe.. 4. Kaun baba ko masaeb me dilasa dega hum ghareebo ko bhala kaun sahara dega behre ghum kaise safeene ko kanara dega dhyaan har haal me yu kaun hamara dega Apne markaz pe.. 5. Abhi nana ki judai ka alam taaza hai furqate rehmate kaunain ka ghum taaza hai qalbe muztar me ghume shahe umam taaza hai ab aseero pe falak ka ye sitam taaza hai Apne markaz pe.. 6. Sunke muztar ki fugha charke kuhan kaanp utha qalbe kaunain basad ranjo mehen kaanp utha qabre athar me payambar ka badan kaanp utha kehte kehte shahe wala ka sukhan kaanp utha Apne markaz pe.. 7. Sunke sarwar ka sukhan bande kafan toot gaya roohe zehra hui bechain falak tharraya haath phailake zakiya ne hasan farmaya aa gale lag ja mere ab na ye kehna beta Apne markaz pe..