لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye ghairat e maryam

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
aye ghairat-e-maryam tera bazar me jaana na bhool sakega ise ta hashr zamana 1.Jis dar pe salami diya karte the payambar rukjao musalmano na is ghar ko jalaana 2. Ab khaak pe soyegi sakina teri kaise tha tune sikhaya ise seene pe sulana 3. Mar jaaye jo shauhar to pana dete hai bhai kubra kahan jaaye na raha koi thikana 4. Kyu zainab o kulsoom ki chinti hai ridayein jao are logo mere ghazi ko bulaana 5. Uth ti nahi baba se teri laash ali akbar tha tune to beta meri mayyat ko uthaana 6. Tu dukhtare zehra hai nawasi hai nabi ki baazar me sar nange tera khutba sunana 7. Islam pe do beton ko qurbaan kiya hai kismat may teri likha hai ye daagh uthaana 8. Aye dukhtare hyder wo qayamat ki ghadi thi sar nange tera shaam ke darbaar may jaana 9. Ye majlis o maatam ke bina tere hi dam se paaya hai azaadar ne bakhshish ka banana