لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghar lut gaya mera ya rasoolallah

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Qabr e nabi udaas, madina udaas tha zainab nabi ke roze pe, padhti thi marsiya kehti thi apne ujadne ka maajra marqad laraz utha juhi..(2) to zainab ne ye kaha ya rasoolallah, ghar lut gaya mera, ya rasoolallah ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2) mai hogai tanha, ya rasoolallah ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2) 1. Jis waqt gaye the (hum tere sheher se)..(2) thi maqna o chadar, (nikle the jo ghar se)..(2) ab wo nahi parda, ya rasoolallah ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2) 2. Tukdo mein bata tha (ek dulha ka laasha)..(2) yu bikhri ummeede (is tarha se sehra)..(2) farwa ka tha nauha, ya rasoolalla ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2) 3. Thi jiske hawaale (maa behno ki chadar)..(2) maara gaya wo bhi (shaano ko kata kar)..(2) be aas hue shaah, ya rasoolallah ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2) 4. Bhai pe churi thi (mai dekh rahi thi)..(2) sar kat-ta tha sheh ka (mai darr pe khadi thi)..(2) koi na tha mera, ya rasoolallah ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2) 5. Ek rassi mein nana (humlog bandhe the)..(2) shaane the bado ke (bachho ke gale the)..(2) mehmil na kajawa, ya rasoolallah ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2)