لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain haay hussain

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Husain haay husain--(8) hai aasamano zameen par, husain ka matam. Ali k laal shahe mash rakaein ka matam. Husain haay husain-- (8) Ali ka khoon bahaya gaya hai maqtal me, payambaro ko rulaya gaya hai maqtal me, dile rasool dukhaya gaya hai maqtal me.. Husain haay husain -- (8) zameene garm pa bikhra hua hai khune husain, faza me sog hai taari hawa b hai bechain, ye kaisa jashn manaya gaya hai maqtal me.. Husain haay husain--(8) wo teen roz ka pyaasa wo naade paigambar, Malaeka k duroodo salam hai jispar, usi ka khoon bahaya gaya hai maqtal me.. Husain haay husain--(8) nikal raha hai dhua aur jal rahe hai khayam, khade hai chate gariba payambarane karam, nabi ka baazu jalaya gaya hai maqtal me.. Husain haay husain--(8) sitam ne lashae qasim k kar diye tukde, gale pa teer chalaya gaya hai asgar ke, urooje zulm dikhaya gaya hai maqtal me, Husain haay husain--(8) pade hai bazue abbas khaake  sehra par, nahi hai aun o mohammad nahi rahe akbar, har ek charag bujhaya gaya hai maqtal me... Husain haay husain--(8) sakina ab na kabi so sakegi raato me, rahegi yaad e sitam ta hayaat aankho me, use kuch itna sataya gaya hai maqtal me, Husain haay husain--(8) hilal kaise bhulaye bhala wo shame alam, bayan kaise ho sahil wo dardnakh sitam, jo ahlebait pe dhaya gaya hai maqtal me Husain haay husain--(8) hai aasamano zameen par, husain ka matam. Ali k laal shahe mash rakaein ka matam. Husain haay husain--(8