لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain (x2) Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain 1 Woh Abid-e-Beemar tha (x2) Chalnay se jo, laachaar tha, Aur shaam ka bazaar tha... Aur Mustafa ki betiyaa.. (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 2 Shabbir ki woh laadli, (X2) Seenay pe jo, Shah ke pali Jis ki abaa, bann mein jali... Mu par tamaachon ke nishaan... (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 3 Pyase gale, khanjar chale (x2) Chaadar chini durre lagay Abbas ke parcham talay... Ro kar kahen, yeh bibiyan.. (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 4 Ro kar kahe Qasim ki maa (x2) Maara gaya, Qasim jawaan Aye laal mein, dhundoon kahaan... Mehndi teri, sehra tera... (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 5 Woh Asghar-e-Besheer tha (x2) Aur Hurmala ka teer tha Pyaasa gala, kyu kar kataa... larzi zameen aur aasmaan ... (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 6 Shaam-e-garibaa chaa gayi, (x2) Abid ko gairat kha gayi Pehre pe Zainab aa gayi.... Abbas aur, Akbar kahaan.... (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 7 Woh bawafa, Abbas tha (x2) Dukhiyon ki jo, ek aas tah Paani mila, par na piyaa... Pyaasi rahi, shehzadiyan... (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2