لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere maula mujhe do sahara

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Mere maula mujhe do sahara maine thama hai daaman tumhara dhalte suraj ko tumne ubhara maine thama hai daaman tumhara 1. Tum hi mushkil kusha e jaha'n ho tum hi maula e kauno makaa'n ho ambiya ne bhi tumko pukara..(2) maine thama hai daaman tumhara 2. Meri kashti bhawar mein phasi hai dushmano ke labo par hasi hai kardo nazdeek mujhse kanara..(2) maine thama hai daaman tumhara 3. Gardisho mein muqaddar hai mera kya karu chaar su hai andhera tum jo chaho to chamke sitara..(2) maine thama hai daaman tumhara 4. Ranj mein kabse mai mubtela hu kab se maula aseer e balaa hu kya tadapna hai mera gawara..(2) maine thama hai daaman tumhara 5. Mustafa ke liye ab bachao fatima ke liye jaa'n chudao ab to mutlaq nahi ghum ka yaara..(2) maine thama hai daaman tumhara 6. Tumko maula hasan ki dohai sarwar e bekafan ki dohai sunlo faryaad meri khudara..(2) maine thama hai daaman tumhara 7. Behre abbas baazu ko thama bediya'n behre sajjad kaato ya ali mai hu banda tumhara..(2) maine thama hai daaman tumhara 8. Wasta akbar e naujawa'n ka wasta chhe mahine ki jaa'n ka kardo rehmat ka bus ab ishara..(2) maine thama hai daaman tumhara 9. Apne kirmaan par rehem khao jald roze pe maula bulao darr dikha do mujhe ab tumhara..(2) Mere maula mujhe do sahara maine thama hai daaman tumhara