لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

PYason Se Zyada Door NA tha

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
1.PYason  Se Zyada Door NA tha pyaso se zyada door na tha behte huwe darya ka pani na kaamiye qismat kya kahiye paaya na magar khatra pani pyase jo rahe chaubees pehar loo dhoop may yun sookha pani roye to lahoo aaya behkar aankhon may na tha khatra pani pyaso se zyada.... asghar ne badi umeedon se moo khola magar lab tar na huwe bache ke liye allah allah tha jaan se bhi mehenga pani pyaso se zyada.... waada jo kiya tha maadar se wo aun o mohamed karke rahe behta tha barabar may darya mudkar na magar dekha pani pyaso se zyada.... pyaso ke muqaddar may hi na tha pani ka koi kahtra shayad abbas ne de di jaan magar qaimay may nahi pahuncha pani pyaso se zyada.... ashoor ko jalti reti par pyasa tha mohamed ka dilbar har roz qayamat tak bhi agar kya fayeda barsa pani pyaso se zyada.... abbas ke honton ke chaalay kehte hai imame bekas se qabze may tha ghazi ke darya lekin na piya khatra pani pyaso se zyada.... kuch is se zyada ho na saka majboor tha darya kya karta pani ke liye tadpe asghar, asghar ke liye tadpa pani pyaso se zyada.... pathar ke jigar bhi aab huwe maqtal may nisar aada roye honton pe phira kar apni zaban baysheer ne jab maanga pani pyaso se zyada ....