لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Salwat o salam

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
salwat-o-salam aap pe ya fatima zahra purse ke liye aaye hai ya fatima zahra ho laakh darood aap pe shehzadiye kaunain gham itne sahe aap ne ay madare hasnain markhad may bhi aada ne nahi lene diya chain azbaad mohammad rahe lab par tere bain aflaak bhi tharraye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... jab chand moharram ka nazar aata hai bibi shabbir ka tab yaad safar aata hai bibi ashoor ka manzar hame rulwata hai bibi ujda jo nazar aap ka ghar aata hai bibi hum nowhaquna aaye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... ashoor ki wo subhe azane ali akbar chalte hue wo teer ibadar ka wo manzar qaime may pareshaan thi zainab teri dukhtar aur pyas se gehware may rota raha asghar hum bhool nahi paaye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... zainab ke pisar aun-o-mohammed ki shahadat khamoshi se zainab ne sahi thi wo qayamat na ashk bahaye na ki awaaz mere sad darya pe jo jaane ki na thi maa ki ijazat pyase hi palat aaye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... ek ghatri may ek chand se qasim ka janaza maidan se jab qaimaye fargha misa aaya sab behne buka karti thi dulhan ka tha nowha kab khoon ki mehndi se saja hai koi dulha sheh dard se tharraye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... kis tarha likhi jaaye alamdar ki ruqsat ya fathima zehra nahi alfaaz may taaqat pyaso ke kaleje pe gira kohe musibat jaati rahi tab baazue shabbir ki quwwat jab mashqo alan laaye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... laila ne sawara ali akbar ko ye kehkar din byah ke hai phir bhi sidharo mere dilbar sharminda mohammad se na ho jaaye ye madar dam nade ali kar doon tere seene ke upar gul sehre ke murjhaye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... jab teero ki barsaat may ghar se gaye asghar maa kehti thi pani isay de denge sitamgar maloom na tha teer hai asghar ka muqaddar tadpega abhi baap ke haaton pe ye dilbar sheh laasha utha laaye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... jab gardane shabbir pe chalne laga khanjar khud aap to maujood thi wahan binte payambar maa kehke sada deta tha jab aap ko dilbar jannat se chale aaye thay jab dasht may haider hum rone ko yahan aaye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe.... ay kashif-o-rehaan pase shame ghariban saydaniya roti thi larazta tha bayaban jalte hue qaimo ka dhuan bar sare maidan ek bachi ko sholo may sulagta hua daaman dil dard se bhar aaye hai ya fatima zahra salwat-o-salam aap pe