لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shabihe payambar akbar

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Haae ali akbar   x4 Shabeeh e payambar akbar Zibaah ba maidaan   x2 1.Ye sibt e payambar ki laila ki kamaayi hai   x2 Kya maadar e akbar ne takdeer ye paayi hai   x2 Khaymo me bapa matam,  x2 Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan 2.wo naazo ka paala hai atthaara baras waalaa  x2 Zainab ka dulara hai atthara baras waalaa    x2 Khaimo me bapa matam  x2 Ai mere jawan akbar Zibaah ba maidaan 3.Socha bhi na tha maa ne ye din kabhi aaega   x2 Marne k liye akbar maidaaan me jaaega   x2 Khaimo me bapa matam   x2 Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan 4.Khaaega kaleje par jis waqt sina akbar    x2 Ye teri khabar sunke mar jaaegi maa akbar    x2 Khai mo me bapa matam   x2 Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan 5.Jaata hai jo maqtal me wapas wo nahi aata    x2 Taqdeer dikhaaye na akbar ka kahi laasha   x2 Khaymo me bapa matam   x2 Ai mere jawan akbar Zibaah ba maidaan 6.Akbar teri shaadi ka armaan tha khwahar ko   x2 Poshaakh shaahani wo pehnaaye baradar ko   x2 Khaimo me bapa matam  x2 Ai mere jawan akbar, Zibaah ba maidaan *7.Teere hai nakaahat hai aur sibt e payambar hai    x2 Farzand ki mayyat hai aur sibt e payambr hai    x2 Khaymo me bapa matam x2 Ai mere jawan akbr Zibaah ba maidaan 8.Phir kaun bachaega karti thi buka madar    x2 Cheenenge laeen aake jab sar se mere chaadar    x2 Khaymo me bapa matam   x2 Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan 9.Akbar ne dam e rukhsat jeene ki duaaen lee   x2 Aur kaapte haatho se zainab ne balaaye lee  x2 khaymo me bapa matam   x2 Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan 10.Beta na kisi ka yoo mar jaae jawaani me  x2 Matam ki sadaaye hai darya ki rawaani me  x2 khaymo me bapa matam  x2 Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan 11.zehra ki inayat hai padhta hai naqi nauha   x2 Ham shakl e payambr ka shabbir ko hai pursa       x2 Khaymo me bapa matam  x2 Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan 12.miljaaye jo akbar ki tehreer mujhe mehshar   x2 Din raat padhu nauha ye khaakh pe sar rakhkar   x2 Khaymo me bapa matam   x2 Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan