لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zainab pe yatimi ki ghadi aa gayi baba

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Zainab Pa yateeme ki ghadi aagayi baba ..2 bin baap ki kehlati hai beti Teri baba Zainab pa yateeme ki ghadi aagayi baba Amma nahi nana nahi aur tum bhi sidhare ..2 kis mod pe le aayi hame zindagi baba Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba Kitne hi yateemo ko diya tum ne dilasa ..2 ab hum ko dilasa nahi deta koi baba Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba Zakhmi hua Sar aapka Allah ke ghar me ..2 raas aapko aayina faza khufe ki baba Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba Ik aapke dam Se mere jine ka maza tha ..2 ab Mujhse zamane ne khushi chinli baba Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba Zainab yehi kehti thi Rashid ashk bahakar ..2 ab hogayi viraan faza khufe ki baba Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba